Instant Quips

One of the many faults that I have is that I have a poor sense of humour and not many people laugh at my jokes or ironical statements. Maybe its my style or my jokes - but I definitely lack the X factor. So this blog is a collection of all quips, jokes, one-liners, life-changers etc that people fwd to me from now on. I am hoping that at least I wont be at a loss of material in parties that I go to.

Thursday, September 22, 2005

MunnaBhai MBBS Jokes

Munna Bhai M.B.B.S on Practice

Munna Bhai nay pehlay din office khola to bara khush tha. Us ki
secertary nay bataya k bahar aik aadmi aaya hai. Munna bara khush hua
aur usay andar aanay k liye kaha. Us k andar aanay say pehlay Munna
nay socha k us par impression dalna chahiye aur phone utha k batien
karnay laga.

"Haan Haan! 500 rupay fees hai, apun 10 baje tak betha hai idher, is
say late nahi karnay ka, apun bahut busy hai".

Us k baad us nay phone rakha aur aanay walay say poocha "Beth na
Maamoon, apun teray liye kya kar sakta hai?"

Man: Mien phone sahi karnay aaya hoon.


⋆⋆⋆⋆⋆


Munna: Meray paas aik buri khabar hai, aur aik buhat hi buri khabar
hai teray wastay.

Patient: Acha to pehlay buri khabar suna daal.

Munna: Apun k paas jo teri report pahunchi us mien likha tha k teray
paas sirf 24 ghantay hain zinda rehnay k liye.

Patient: Sirf 24 ghantay. is say buri khabar kya ho sakti hai.

Munna: (Jadu ki Japhhi Dalte Hoauy) Mien kal say teray tak pahunchnay
ki koshish kar raha hoon.


⋆⋆⋆⋆⋆


Munna: Abay Circuit! Jaa baajo walay ghar say Doctor ko bula k laa,
meri tabiat kharab ho reli hai.

Circuit: Aey Bhai ! aap to khud doctor ho.

Munna: Bolay to meri fees buhat zyada hai.


⋆⋆⋆⋆⋆


Munna: Bolay to Apun ko tera operation dobara karna paray ga. Kyun k
apun kay rubber k gloves teray andar hi reh gaye hain.

Patient: Agar yeh baat hai to mujhay jaanay do. Mien tumharay gloves
ki payment kar doon ga.


⋆⋆⋆⋆⋆


Munna: Bolay to darad kahan hai aapko.

Patient (F): Pooray badan mien hai

Munna: Yeh kaisay ho sakta hai ray, kuch detail batao.

Patient: Tocuhes her right knee and says here, then touches her
earlobe and says here, then touches her left cheek and says here, etc.

Munna: Aesay hi khaali peeli tension de reli hai, teri finger mien dard hai.


⋆⋆⋆⋆⋆


Patient: Doctor aap ko yakeen hai k mujhay Namoonia (pneumonia) hai,
kyun k pichlay dino aik doctor meri friend ka Namoonia ka ilaaj karta
raha aur woh Typhoid say mar gayi.

Munna: Haan ray meray ko akha yaqeen hai, tu namoonia say hi maray ga.


⋆⋆⋆⋆⋆


Aik patient Munnabhai k paas aaya, Munna nay us ka chekup kiya aur bola

Munna: Tumharay pass ziyada waqt nahi hai

Patient: Meray pass kitna time hai.

Munna: Dus (10)

Patient: Kya Dus.... Minute..... Ghantay.......... Din......?

Munna: No (9), Aath (8), Saat (7),.......


⋆⋆⋆⋆⋆


Raat ka time jab Munna aur chinkie apnay bed room mien so rahay thay
to phone ki ghanti baji.

Voice: Aray Doctor sahab jaldi aayeay! Meray betay nay blade kha liya hai

Munna abhi jaanay k liye tayyar hi hota k dobara phone aata hai.

Voice: Doctor Sahab! Ab aanay ki koi zaroorat nahi, meray husband ko
shave k liye doosra blade mil gaya hai.


⋆⋆⋆⋆⋆


Aanand jab end mien bachon ko story sunata hai to bolta hai;

Aanand: "Munna nay kaha tha k woh mujhay aik month mien meray feet pay
khara kar de ga"

Bachay: Phir?

Aanand: "Phir kya, mujhay us ka bill pay karnay k liye apni car bechna pari."


⋆⋆⋆⋆⋆


Munna: Apna munn kholo.....

Patient opens his mouth: Aaaaaaaaaaaaa..........

Munna throughs his torch light in his mouth: Hmmmmmmm..... Torch sahi hai.


⋆⋆⋆⋆⋆


Chinkie: Tum hamaisha clinic mien apnay saath meri photo bhi kyun le jaatay ho.

Munna: Apun ko jab bhi koi mushkil aati hai, apun tumhari pic dekh
leta hoon aur woh prob. solve ho jaati hai.

Chinkie: Dekha! Mien tumharay liye kitni achi aur powerful hoon.

Munna: Haan! Apun teri pic dekhta hai aur apnay aap say bolta hai "Is
say bari bhi koi problem ho sakti hai bhala."


⋆⋆⋆⋆⋆


Munna: Teray ko maaloom hai k cigarette aik tarah say slow poison ka
kaam karta hai.

Patient: To mujhay konsa marnay ki jaldi hai.

0 Comments:

Post a Comment

<< Home